Lucknowi Andaaz

We have the last bastion of good behaviour, Lucknow, still standing amidst the falling standards of good behaviour in our country. This was an encounter with one of its citizens. (In Hindi/Urdu)-

Me: Aap ki taareef?

Lucknawi: Ama, hum apni tareef nahin kiya karte. Phir bhi, aapne poochha to bata hi dete hain, is nacheez ko Banda Nawaz kehte hain.

Me: Aap ko nahin lagta Nawaz sahab, ki Uttar Pradesh hud se zyada badh gaya hai, aur ise chhota karna chahiye, taaki woh tarakki kar sake?

BN: Logon ko Awadh ki biryani khane se fursat mile tab  hi to soch paenge hum iske baare mein?

Me: Aaj kal ki shaayari ke baare mein aap ka kya khayal hai?

BN: Dard wahi hai, sahab, magar shaayar nahin rahe jo use bayaan kar saken.

Me: Zubaan se to aap Nawaab lagte hain. Karte kya hain?

BN: Sahi farmaya aapne janab, magar sirf zubaan ke hain..warna aapki sahi khaatirdaari na karte?

Me: Kyun sharminda kar rahen hain mujhe? Bahut shukriya aapki zarranawazi ka,..phir mulaqaat hogi kabhi..



No comments:

XLRI Doctoral Colloquium 2024

 Pics from a well-organised event.  With TAS Vijayaraghavan, my classmate and XLRI prof., and Dr. Prashant, host. My talk on Building Academ...

These Were Liked a Lot